Bundelkhand Me Krishi Ke Vikas ke liye Sthapit Shri Kanshiram Krishi Praudyogic Vishva Vidyalaya Ko Vikas Ki Darkar
Bundelkhand Me Krishi Ke Vikas ke liye Sthapit Shri Kanshiram Krishi Praudyogic Vishva Vidyalaya Ko Vikas Ki Darkar
- Vishwavidyalaya 2010 me sthapit hua tab se aaj tak ek bhi building ka handover nahi ho saka.
- Vishwavidyalaya me 2 college (college of horticulture evam college of agriculture ) chal raha hai jisme lagbhag 350 baccho ko padhane hetu matra 13 teachers ki niyukti ki ja saki hai. Sath hi ministerial evam accounts ke naam par kewal ek vyakti ki hi niyukti ki ja saki hai.
- Vishwavidyalaya ka logo abhi tak nirdharit nahi kiya ja saka hai.
- Vishwavidyalaya ki library zero hai.
- Vishavidyalaya me peene hetu swakchha jal ki uplabdhata shoonya hai.
- Jyadatar bachhe banda shahar me rahte hai jo transportation ki suvidha na hone ki vajah se 6.0 km paidal aate hai evam 6.0 km paidal jate hai. Bachho ko bus ki suvidha bhi uplabdha nahi karai gai hai.
- Bachho ko padhne hetu bijali vyavastha khastahal hai. Generator ityadi ki bhi vyavastha nahi ki gai hai.
- Pure vishvavidyalaya me kahi bhi chahe hostel ho ya collegee kahi bhi peya jal ki suvidha uplabhdha nahi hai.
- Viswavidyalaya ki sthapana k char varsho baad bhi vishvavidyalaya me shodh evam prasar ka kaam zero hai..
- Vishvavidyalaya k vice chancellor bahut hi imandar vyakti hai parntu parisar ke htarth ek bhi sahi faisale nahi le sake.
- Student instructional farm aaj tak nahi ban saka jaha bachhe practical kar sake.
- Vishvavidyalaya me pani supply ki vyavastha puri tarah charmarai hui hai.
- Bachho ko ko koi bhi navintam takniki jaise internet aadi ki suvidha nahi di gai hai.
- Fix par karyarat kisi bhi staff ko koi bhi yatra bhatta deya nahi hai.
- Vishvavidyalaya staff ko koi bhi parichaya patra nahi diya gaya hai.
- Teachers ko bahar advance training course/ seminar/symposia me bhag lene nahi jane diya jata hai.
- Vishvavidyalaya ki suraksha vyavastha atyant dayniya hai. Parisar me hamesha bahri logo evam janvaro ka jamavada laga rahta hai..
- Vishvavidyalaya me students & teachers k hito ki purnatah andekhi ki ja rahi hai.
- In char salo me vishvavidyalaya gart me chala gaya hai.
- Vc saheb 100 % imandar hai parantu university chalane hetu jis netritva kchhamta ki aavasyakata hai vo unke ander nahi hai.
- College me lecture rooms, hostel aadi ki building aisi bani hai ki kuchh bhi kah pana sambhav nahi hai.
- Kya kya kamiya bataoo . Bas ab aapse ek hi darkar hai ki kisi yogya vyakti ko vc niyukt karane me sahyog de.
Kripaya jaachoparant uchit nirnaya shighratishighra Vishvavidyalaya hit me
lene ki kripa kare evam ise is roop me uthayen jissase ki vishvavidyalaya ka
bhalal ho sake..
bundelkhand evam vishvavidyalaya hit me badi kripa hogi.
YATCHI: MATRIBHOOMI BHAKT
- Anonymous's blog
- Log in to post comments