Bundelkhandi bhasa ka Pratham hasya khand kavya Manga
"Bundelkhandi bhsa ke Pratham hasya khand kavya Manga' ka Vimochan 7 january 2015 ko oorcha TikamgarhMP me sampanna hua.yah karyakram MP Tulsi Sahitya Academy ki Tikamgarh Ikai dwara ayojit kiya gaya tha.Mahraj oorcha ke sahyog se iska aayojan Hotel eBundelkhand riverside. Oorcha merakha gaya tha.Is aayojan me MP Tulsi sahitya Academy ke adyaksha Dr mohan tiwari,Dr Omprakash Richariya purwa Mantri UP Govt.jhansi,Shri Hargovind khuswaha Purwa Mantri UP Govt.bundelkhandi bhasa ke lokpriya geetkar ,Dr B SParmar. Mahraja college Chhatarpur,shri Laljishrivastav adyaksha Tikamgarh ikai,Dr JP Rawat van saanshak sahityakar Tikamgarh Akhilesh narayan tripathi ,Sri Rajendra vidhwa,Dr jakiya khan Adyaksha Bundelkhandi virasat Oorcha,Sri Pramod Tiwari Adyaksha Nagar parishad oorcha ,vishesh Aamantrit athithi Mahraj Oorcha aur bahut se Jhansi Tikamgarh oorcha aur anya jagaho ke Bundelkhandi bhasa ke prachar prasar me jude logo ne hissa liya.Isme Manga ke vimochan ke liye late shri Babulal khare jo Chargawa Gorjhamar Jila Sagar MP ke rhnawale the unke pariwar ke sadsya sri Bhagwati sharan ,Harisharan,Shasi khare,Shobha khare bhi shamil hue.Manga khand kavya ki Samiksha shri J p rawat Tikamgarh ne padi aur iske rachnakal jo azadi ke dino ke aas pas tha us samaya ke bundelkhand rahan sahan reet riwajo ke baare me pustak ki samiksha karte hue vichar rakhe.Dr Rawat ne bundelkhand ke itihaas aur bundelkhandi Bhasa ke vikas yatra ki baat ki.Dr BS Parmar ne Manga ke madhyam se Bundekhandi bhasa ki sarasta madhurta aur usme jude thatyo par prakash dala.unhone kaha koi bhi bhasa jisme itne sunder sahitya ki rachna ho rahi kabhi mar nahi sakti.Han iske prachar prasar ke liye is tarh ke aayojan jaroori hai.Dr BS Parmar chhatarpur se Bundelkhandi Bhasha ke tremasik patrika nikalte hai aur we aaj bundelkhandi bhasa ke jaane mane naam hai.Sri Hargovind khuswahaji ne Bundelkhandi bhasa aur vikas ke geet gaate hue sama bandha.Sri rajendra viduwa ji ne aaj ki rajneeti par vyangatmak geet ' un ne to kai dai ne kha he ne khande suna kar chutila vyang kiya.Anya bahut sahityakaro ne geeto aur thathyo ke madhyam se Bundelkhandi bhsa ke vikas ke liye unke dwara kiye gaye prayaso ke jikra kiya.kutch log sri s k longpuriya Huderbad sri SC gupta jaipur se aaye,ye log bundelkhandi bhsa ko in sudur dakhsin bhas ke. Areas me jeewit rakhe hai.samaroh ke chitra aur video clip bhi dekhe jaa sakte hai isi site par
"
Hari Sharan khare
9425370061
- Log in to post comments